Log Kahte Hai Hume Pyar Hai Unse
Log kahte hai hume pyar hai unse
Hum kahte hai woh paagalpan hai hamara
Junoon hai hamara
Hum unke liye kuchh nahi
Aur hamare liye woh sab kuchh hi
Bas yahi rishta hai hamara
Log kahte hai hume pyar hai unse
Log kyon kahte hai woh jo dil manta nahi
Jo dil janta nahi
Jo sach hokar bhi sach nahi
Log kahte hai hume pyar hai unse
Agar yeh pyar hai to
Yeh kuchh nahi
Hum janna chahte hai paagalpan ki had ko
Unko pane ki har shart ko
Unke liye jeene ki saza ko
Hum janna chahte hai unke na hote hue bhi unke ehsaas ko
Log kahte hai hume pyar hai unse
Unse Jo kahtekuchh aur hai
Jatate kuchh aur hai
Batate kuchh aur hai
Aankhon se chhupate kuchh aur hai
Log kahte hai hume pyar hai unse
Hum kahte hai kya hai hamara pyar
Kuchh salon ka intezar
Unke dukh par dukh ka ehsaas
Unki ek jhalak ko paane ki chahat
Unhe hasta hua dekhne ki aadat
Unse beinteha kuchh kehne ki koshish
Unse yeh sunne ki khwahish
"Tumne kiya bahut intezar hamara
Kiasa hai yeh pyar tumhara
Pehle kyon nahi kaha humse
Kyon chhupate rahe pyar ko gum se
Main kya kehti mujhe pata na tha
Ki pyar kisi se hota hai kya
Par aaj tumse kehti hoon yeh
Pyar ka izhar karti hoon dil se
Yakeen nahi ata koi hume itna chahta
Aaj tum par marne mitne ko jee karta hai
Aaj dekhti hoon tumhe to yad ata hai woh waqt
Jo saath guzara wo tha beeta hua kal
Ab jo ayega wo hoga sabse haseen
Aao badkar baat kare aur guzar jaye yeh din yun hi"
Log kahte hai hume pyar hai unse
Bas yahi sunna chahte hai hum unse
Woh kahte kuchh nahi humse
Par lagta hai yahi hai unke dil mein
Shuruat ka dawa karte hai unse
Par woh itna sa kyon nahi samajhte
Pyar hum bahut karte hai unse
Par woh bhi to kuchh kahe humse
Aaj wada karta hoon in aansuon ko rok loonga
Bahar ke dinon ki rah takoonga
Apne intezar ki pareeksha loonga
Tumhare izhaar ka intezar karoonga
Apne pyar par poora aetbaar rakhoonga
Log kahte hai hume pyar hai unse
Log sach kahte hai hume pyar hai unse
