Friday, December 28, 2007

SADAK

Sadak

Ek din waqt ne kuchh aisa khel khilaya
Hume unse milaya kuchh aise mauke par
Humne unka saath nibhaya
Us bejaan-si chhoti-si sadak par

Do pal ke liye hi sahi
Do kadam ka saath to mila
Dukh hai sirf is baat ka
Saath mila ek dost ka
Kash hota woh saath
Hamare hamsafar ka

Tumhari aawaz suni
To man naachne ko kar utha
Tum kehti gai
Main sunta gaya
Madhosh hota gaya

Tumhari aur dekha
To waqt ko rok dene ka man kara
Tumhari aankhon mein dekha
To laga inki gehrayion mein hai chhupa
Mere liye beshumar pyaar
Tumhari aankhon ki chamak se
Chehre par a gayi bewaja hi muskaan
Tumhari aankhen na kehte hue bhi kar gayi hume sab kuchh bayan

Dhoop wali yeh sadak
Tumhare saath mien lagti hai jaise
Anginat pedon ki haseen chhaon
Sookhi si yeh sadak
Lagti hai jaise
Swarg ka suhana rasta
Man karta hai kisi ped ke neeche chhup jaon
Tumhare kan mein chupke se kuchh keh jaon

Baarish ho rahi hai dhoop bhi hai
Boonde hai mere pyaar ki
Dhoop hai tumhare jawaab ke intezaar ki
Chhaon hai tumhare saath ki
Are! Bhool hi gaya
Abhi tak tumse dil ki baat kehne ki himmat kar hi nahi paya

Sadak par gadha aaya
Mera kadam ladhkadhaya
Jab girte hue thama tumne mera haath
To laga jaise
Ek sabse achha dost hoga hamesha hoga hamare paas
Jab hoga musibaton ka saath
Par kaash yeh hota
Ek premika ka premi ke izhaar ka jawaab

Jawaab jo na kehte hue bhi sab kuchh keh jata
Us premi ki zindagi roshan kar deta
Uske liye us sadak ko zindagi ki rah bana jata

Kaash tumhara haath pakadna mujhe thamna
Yeh sab kar jata
Par dekha tumhara haath pakadna kya kar gaya
Hame hamare sabse ache dost se mila gaya

Jab aaya us sadak ka ant
To dil janta tha,tha woh hamare saath ka ant
Man kara man loon ise zindagi ka ant
Par dil jo janta tha woh manna nahi chahta tha
Kaash hota yeh is safar ka pehla kadam
Safar tumhare saath ka
Haanthon mein haath ka
Hamare pyaar ka

Par absos hai ki yeh safar tha
Sirf do doston ke do pal ke saath ka

Jab aaya us sadak ka ant
To tumhe jaana tha apne ghar
Man kara tumhe rok loon
Haath pakad loon aur sab kuchh keh doon

Tumhari taraf haath badaya hi tha
Man mein dar aa gaya
Tum inkaar na kar do
Mujhse mera sab kuchh na cheen lo

Par fir wahi hua
Man ka dar honthon par aa hi gaya
Dil ki baat daba gaya
Mujhe chup kara gaya
Hamari dosti bacha gaya

Tumhe haste hue alvida kaha
Man mein jee bhar kar shukriyaada kiya
Tumne kuchh waqt saath bitaya isliye
Zindagi ke sabse haseen lamhon se milwaya isliye

Is sadak ko kabhi na bhoolunga
Jab bhi phir guzroonga
Tumhe yaad karoonga
Isme tumhari khushboo bas aa gayi hai

Mere izhaar ki jhoothi kahaniyan likhi hui hai
Izhaar jhootha kyun ki main woh kabhi kar hi nahi paya
Tumse kuchh keh nahi paya
Sadak yeh poori guzar gayi
Hamari dosti dosti hi reh gayee

Ek kadam aage kya badana chaha
Tumne to humse dost kehlane ka hak bhi chin liya
Aisa mat karo jeena mushkil ho jayega
Tumhare pyaar ke liye tadap raha hoon
Dosti ke liye tadpaogi to mar jaonga

Khatae jo humse hui
Unhe pehchhan kar mujhpar naaraz ho
Par aise khamosh mat ho
Kuchh kehne ka ek mauka to do

Chahta hoon is safar ka ant dosti par na ho
Aage yeh rah pyaar ki unchayion ko chhue
Par tumne to dosti ka haath hi cheen liya
Pyaar nahi kamse kam dosti to de do

Tumhare bina zindagi ka safar adhoora hai
Har rah manzil ke bina hai
Dosti ki jis sadak par hum chale the
Jab aaya uska ant aur maine kadam aage badana chaaha
Is rah ko zindagi ki rah banane ka socha

To tumne humse dosti hi chheen li
Is sadak ki manzil poori na hone di
Kamse kam ise dosti ki manzil tak to pahunchne do
Hume jeene ka kuchh to sahara do

Tumhare bina sirf saans le raha hoon
Jeene ka man to nahi karta
Tumhare bina is zindagi
Ko chhod dene ka man karta hai

Vaada karta hoon umra bhar tumhara saath nibhaoonga
Har mushkil sadak mein saath doonga
Har manzil ko tumhare saaath paaonga
Har rah mein tumhare saath chaloonga

Ek mauka to do
Apna haath hame to do
Hoga jo haathon mein tumhara haath
To kat jayega zindagi ka har safar chalte saath saath