Friday, December 28, 2007

SADAK

Sadak

Ek din waqt ne kuchh aisa khel khilaya
Hume unse milaya kuchh aise mauke par
Humne unka saath nibhaya
Us bejaan-si chhoti-si sadak par

Do pal ke liye hi sahi
Do kadam ka saath to mila
Dukh hai sirf is baat ka
Saath mila ek dost ka
Kash hota woh saath
Hamare hamsafar ka

Tumhari aawaz suni
To man naachne ko kar utha
Tum kehti gai
Main sunta gaya
Madhosh hota gaya

Tumhari aur dekha
To waqt ko rok dene ka man kara
Tumhari aankhon mein dekha
To laga inki gehrayion mein hai chhupa
Mere liye beshumar pyaar
Tumhari aankhon ki chamak se
Chehre par a gayi bewaja hi muskaan
Tumhari aankhen na kehte hue bhi kar gayi hume sab kuchh bayan

Dhoop wali yeh sadak
Tumhare saath mien lagti hai jaise
Anginat pedon ki haseen chhaon
Sookhi si yeh sadak
Lagti hai jaise
Swarg ka suhana rasta
Man karta hai kisi ped ke neeche chhup jaon
Tumhare kan mein chupke se kuchh keh jaon

Baarish ho rahi hai dhoop bhi hai
Boonde hai mere pyaar ki
Dhoop hai tumhare jawaab ke intezaar ki
Chhaon hai tumhare saath ki
Are! Bhool hi gaya
Abhi tak tumse dil ki baat kehne ki himmat kar hi nahi paya

Sadak par gadha aaya
Mera kadam ladhkadhaya
Jab girte hue thama tumne mera haath
To laga jaise
Ek sabse achha dost hoga hamesha hoga hamare paas
Jab hoga musibaton ka saath
Par kaash yeh hota
Ek premika ka premi ke izhaar ka jawaab

Jawaab jo na kehte hue bhi sab kuchh keh jata
Us premi ki zindagi roshan kar deta
Uske liye us sadak ko zindagi ki rah bana jata

Kaash tumhara haath pakadna mujhe thamna
Yeh sab kar jata
Par dekha tumhara haath pakadna kya kar gaya
Hame hamare sabse ache dost se mila gaya

Jab aaya us sadak ka ant
To dil janta tha,tha woh hamare saath ka ant
Man kara man loon ise zindagi ka ant
Par dil jo janta tha woh manna nahi chahta tha
Kaash hota yeh is safar ka pehla kadam
Safar tumhare saath ka
Haanthon mein haath ka
Hamare pyaar ka

Par absos hai ki yeh safar tha
Sirf do doston ke do pal ke saath ka

Jab aaya us sadak ka ant
To tumhe jaana tha apne ghar
Man kara tumhe rok loon
Haath pakad loon aur sab kuchh keh doon

Tumhari taraf haath badaya hi tha
Man mein dar aa gaya
Tum inkaar na kar do
Mujhse mera sab kuchh na cheen lo

Par fir wahi hua
Man ka dar honthon par aa hi gaya
Dil ki baat daba gaya
Mujhe chup kara gaya
Hamari dosti bacha gaya

Tumhe haste hue alvida kaha
Man mein jee bhar kar shukriyaada kiya
Tumne kuchh waqt saath bitaya isliye
Zindagi ke sabse haseen lamhon se milwaya isliye

Is sadak ko kabhi na bhoolunga
Jab bhi phir guzroonga
Tumhe yaad karoonga
Isme tumhari khushboo bas aa gayi hai

Mere izhaar ki jhoothi kahaniyan likhi hui hai
Izhaar jhootha kyun ki main woh kabhi kar hi nahi paya
Tumse kuchh keh nahi paya
Sadak yeh poori guzar gayi
Hamari dosti dosti hi reh gayee

Ek kadam aage kya badana chaha
Tumne to humse dost kehlane ka hak bhi chin liya
Aisa mat karo jeena mushkil ho jayega
Tumhare pyaar ke liye tadap raha hoon
Dosti ke liye tadpaogi to mar jaonga

Khatae jo humse hui
Unhe pehchhan kar mujhpar naaraz ho
Par aise khamosh mat ho
Kuchh kehne ka ek mauka to do

Chahta hoon is safar ka ant dosti par na ho
Aage yeh rah pyaar ki unchayion ko chhue
Par tumne to dosti ka haath hi cheen liya
Pyaar nahi kamse kam dosti to de do

Tumhare bina zindagi ka safar adhoora hai
Har rah manzil ke bina hai
Dosti ki jis sadak par hum chale the
Jab aaya uska ant aur maine kadam aage badana chaaha
Is rah ko zindagi ki rah banane ka socha

To tumne humse dosti hi chheen li
Is sadak ki manzil poori na hone di
Kamse kam ise dosti ki manzil tak to pahunchne do
Hume jeene ka kuchh to sahara do

Tumhare bina sirf saans le raha hoon
Jeene ka man to nahi karta
Tumhare bina is zindagi
Ko chhod dene ka man karta hai

Vaada karta hoon umra bhar tumhara saath nibhaoonga
Har mushkil sadak mein saath doonga
Har manzil ko tumhare saaath paaonga
Har rah mein tumhare saath chaloonga

Ek mauka to do
Apna haath hame to do
Hoga jo haathon mein tumhara haath
To kat jayega zindagi ka har safar chalte saath saath

Sunday, July 30, 2006

Log Kahte Hai Hume Pyar Hai Unse

Log kahte hai hume pyar hai unse
Hum kahte hai woh paagalpan hai hamara
Junoon hai hamara
Hum unke liye kuchh nahi
Aur hamare liye woh sab kuchh hi
Bas yahi rishta hai hamara

Log kahte hai hume pyar hai unse
Log kyon kahte hai woh jo dil manta nahi
Jo dil janta nahi
Jo sach hokar bhi sach nahi

Log kahte hai hume pyar hai unse
Agar yeh pyar hai to
Yeh kuchh nahi
Hum janna chahte hai paagalpan ki had ko
Unko pane ki har shart ko
Unke liye jeene ki saza ko
Hum janna chahte hai unke na hote hue bhi unke ehsaas ko

Log kahte hai hume pyar hai unse
Unse Jo kahtekuchh aur hai
Jatate kuchh aur hai
Batate kuchh aur hai
Aankhon se chhupate kuchh aur hai

Log kahte hai hume pyar hai unse
Hum kahte hai kya hai hamara pyar
Kuchh salon ka intezar
Unke dukh par dukh ka ehsaas
Unki ek jhalak ko paane ki chahat
Unhe hasta hua dekhne ki aadat
Unse beinteha kuchh kehne ki koshish
Unse yeh sunne ki khwahish

"Tumne kiya bahut intezar hamara
Kiasa hai yeh pyar tumhara
Pehle kyon nahi kaha humse
Kyon chhupate rahe pyar ko gum se
Main kya kehti mujhe pata na tha
Ki pyar kisi se hota hai kya

Par aaj tumse kehti hoon yeh
Pyar ka izhar karti hoon dil se
Yakeen nahi ata koi hume itna chahta
Aaj tum par marne mitne ko jee karta hai

Aaj dekhti hoon tumhe to yad ata hai woh waqt
Jo saath guzara wo tha beeta hua kal
Ab jo ayega wo hoga sabse haseen
Aao badkar baat kare aur guzar jaye yeh din yun hi"

Log kahte hai hume pyar hai unse
Bas yahi sunna chahte hai hum unse
Woh kahte kuchh nahi humse
Par lagta hai yahi hai unke dil mein

Shuruat ka dawa karte hai unse
Par woh itna sa kyon nahi samajhte
Pyar hum bahut karte hai unse
Par woh bhi to kuchh kahe humse

Aaj wada karta hoon in aansuon ko rok loonga
Bahar ke dinon ki rah takoonga
Apne intezar ki pareeksha loonga
Tumhare izhaar ka intezar karoonga
Apne pyar par poora aetbaar rakhoonga

Log kahte hai hume pyar hai unse
Log sach kahte hai hume pyar hai unse

Saturday, July 29, 2006

Itne Gumsum Kyon Bade Ho

Itne gumsum kyon bade ho
Dar lagta hai yeh aasman hi kho jayega
Kuchh to kaho humse
Varna yeh dil paagal ho jayega

Aisee kya khata hui humse
Kyon ho khafa tum humse
Aisa kya hua hamare beech
Kyon aaj ho tum gumsum se

Kyon paagal kar rahe ho hume
Tumhari thehri hui aankhon se dar lagta hai
Tod do yeh khamoshi
Tumhari aawaz sune bina jeena bojh lagta hai

Itne gumsum kyon bade ho
Kyon honthod par maun rakhe ho
Kya kum ho gaya pyaar hamara
Kyon hume paagal kar rahe ho

Suni tumhari awaz to jee utha
Dekha tumhe to mun khil gaya
Ab thoda has ke dikha do
Ek saans atki hui thi use bahar jane do

Vaise to bolte hue thakte nahi tum
Hamare ek sawal mein kyon kho gaye ho tum
Jawab ka intezar karte thakenge nahi hum
Ha! nahi par kuchh to kaho tum

Tumhari aankhon mein nami hai
Jane hamare pyaar mein kya kami hai
Dost samajhkar dil ka gum to batao
Humse in aansuon ko mat chhupao

Us sawal ko yad rakhna
Bhoolne ki koshish mat karna
Bhoolna hamari khataye
Yad rakhna woh pal jo saath bitaye

Aise mat rootho humse
Tumhari judai ka gum seh nahi payenge
Kuchh to kaho humse
Tumhare bina reh nahi payenge

Itne gumsum kyon bade ho
Itne gumsum kyon bade ho